Sunday, April 5, 2009

Pi ke aaya hai

Har taraf khamoshi ka saaya hai,
Zindagi mein apna pyaar kisne paaya hai,
Hum roz yaadon mein jhoomte hain unki,
Aur log kehte hain, Dekho aaj phir pi-ke aaya hai!


mehafil se nikla mai khamosh
unse kya jatata apne jasbaatein
chahane wale unke to hai bahot
meri chahat kahan nazar aayegi unhe

tum jo chhor gaye ho, mujhse mujhe bhi ab jaane do,
ye zindgi aur maut ki jhoothi sarhad mitane do.


Ek pal ki ye baat nahi, do pal ka ye sath nahi
waise to zindagi ek safar si ban gayi hai mere liye
par wo safar hi kya jisme tum saath nahi

Teri dosti mei ek nasha hai,

tabhi to ye duniya humse khafa hai...!
Na karo humse itni dosti,

ki dil puche... Teri dhadkan kaha hai..???


Woh hamse ruswa hain ki hum gairon ko dekh kar muskurate hain,
par woh kya jaane hamein har chehre mein woh nazar aate hai..


Aap pas raho ya dur, hum dil se dil ki awaaz mila sakte hai,
na khat ke na phone ke mohtaaj hain hum, par apke dil ko 1 hichki se hila sakte hai.


Chorh diya hamara sath to koi gam nahi.
Bhul jayenge aap hume, bhulne wale hum nahi...
Aapse mulakat na ho pai to koi baat nahi,

aapki ek yaad mulakat se kum nahi

Yaad na karoge to sataenge, ruthoge to manaenge... Roogey to hasaenge...
Dost hai hum tumhare, sayaa nahi... jo andhre mei saath chorh jayenge!


Baat kam kije zahanat ko chupate rahiye, Ajnabi shahar hai kuch dost banate rahiye
Dushmani lakh sahi, khatam na kije rishta,

Dil mile na mile hath milate rahiye

No comments:

Post a Comment