Sunday, April 5, 2009

MOut Kaha Marr Gai

aisaa nahi ki un se mohabbat nahi rahii
jazbaat mein vo pahalii sii shiddat nahi rahii

sar mein vo intazaar kaa saudaa nahi rahaa
dil par vo dharkano kii Hukoomat nahi rahii

paiham tavaaf-e-koochaa-e-jaanaa k din gaye
pairon mein chalane phirane kii taaqat nahi rahii

chehare kii jhurriyon ne bhayaanak banaa diyaa
Aainaa dekhane ki bhi himmat nahi rahii


ALLAH jaane maut kahaan mar gaii
ab mujh ko zindagii ki zaroorat nahiin rahii

No comments:

Post a Comment